Cricket News: Latest Cricket News, Live Scores, Results, Upcoming match Schedules | Times of India

Sportstar - IPL

वो जब याद आए - Wo Jab Yaad Aaye

 वो जब याद आए - Wo Jab Yaad Aaye

वो जब याद आए बहुत याद आए
गम-ए-जिंदगी के अंधेरे में हमने
चिराग-ए-मुहब्बत जलाए बुझाए
वो जब याद आए...

आहटें जाग उठीं रास्ते हँस दिए
थामकर दिल उठे हम किसी के लिए
कई बार ऐसा भी धोखा हुआ है
चले आ रहे हैं वो नज़रें झुकाए
वो जब याद आए...

दिल सुलगने लगा अश्क बहने लगे
जाने क्या-क्या हमें लोग कहने लगे
मगर रोते-रोते हँसी आ गई है
ख्यालों में आ के वो जब मुस्कुराए
वो जब याद आए...

वो जुदा क्या हुए ज़िन्दगी खो गई
शम्मा जलती रही रोशनी खो गई
बहुत कोशिशें कीं मगर दिल ना बहला
कई साज़ छेड़े कई गीत गाए
वो जब याद आए...
वो जब याद आए - Wo Jab Yaad Aaye

Woh jab yaad aaye bahut yaad aaye
Woh jab yaad aaye bahut yaad aaye
Ghame zindagi ke andhere me hamne
Chirage muhabbat jalaaye bujhaaye
Woh jab yaad aaye bahut yaad aaye


Aahaten jaag uthin raaste hans diye
Thaam kar dil uthe ham kisi ke liye
Kayi baar aisa bhi dhokha huaa hai
Chale aa rahe hain wo nazre jhukaaye
Woh jab yaad aaye bahut yaad aaye
Woh jab yaad aaye bahut yaad aaye
Ghame zindagi ke andhere me hamne
Chirage muhabbat jalaaye bujhaaye
Woh jab yaad aaye bahut yaad aaye


Dil sulagne lagaa ashq bahne lage
Jaane kyaa kyaa hamen log kahne lage
Magar rote rote hansi aa gayi hai
Khayaalon me aake woh jab muskuraaye
Woh jab yaad aaye bahut yaad aaye


Woh juda kyaa huye zindagi kho gayi
Shama jalti rahi roshni kho gayi
Bahut koshishen ki magar dil na bahla
Kayi saaz chhede kayi geet gaaye
Woh jab yaad aaye bahut yaad aaye
Woh jab yaad aaye bahut yaad aaye.


गाना / Title - वो जब याद आए - Wo Jab Yaad Aaye
चित्रपट / Movie: पारसमणि (1963)/ Parasmani (1963)
संगीतकार / Music By: लक्ष्मीकांत-प्यारेलाल/ Lakshmikant- Pyarelal
गीतकार / Lyrics By: असद भोपाली/ Asad Bhopali
गायक / Performed By: लता मंगेशकर, मो.रफी/ Lata Mangeshkar, Md.Rafi, Parasmani

No comments:

Post a Comment